Maa ki god jahan bhar ka sukoon deti hai
Iski sanson ki khushbo zindgi mehkati hai
Maa ek baar dekhle muskura kar agar
Ye zameen khud hume asman pe bithati hai
Thake hum jaha se bhi aye ghar
Zuban sabse pehle maa ko hi pukarti hai
Ghar ate hi maa ko dhundti hai nazar
Maa hi to ghar ko jannat banati hai
Kya kahu ke maa kya or kaisi hoti hai
Maa hi to umr ko jeena or zindgi ko sajana sikhati hai